jo pehli baar tumhe dekha thaa
decide kr liya tha ki kaand toh hone wala hai..
nazare yaha waha ghumayi aur samne the tum
jo pehli baar tumhe dekha laga divar ke iss par mein huu
aur uss paar tum , magar baat yeh thi tum waha hokar bhi nahi the
sach yeh tha uss ek pal mein mehaz tum nhi the..
jo pehli baar tumhe dekha tha
woh lambi naak..
chehre par woh muskaan..
woh gehri ankhei..
woh bikhre baal ..
sab kuch sahi toh tha na jese maine chaha thaa
uss ek pal mein ho gayi ti lafzoh ki kapkapahat..
sab kuch pehli pehal sa thaa na
ankhe gehri kuch batein shetani..uss par muskurana
karvana he tha kuch kaand hamara..
sukoon se rubaroo thi woh mulakat tumse
mano ubhar kar aa gayi thi dil ki har baat ..
dil aur dimag mein chidh gayi thi jang
mano avaj pe avaj lagaya ja raha hai koi
dimag bass keh he raha thaa bass karo abb
na karo yeh kaand par dil ne kaha jarasa thamh jao
aur de diya har sawal ka javaab hamne muskurake tumhe
akhir kar ho he gaya kaand humse..
jo dekha tha khayalo mein woh naa dekha uss din
sirf tumhe dekh rahi thi dil ne phir se shor kiya
aur kaha wahh wahh akhir kar humne kaand karva he diya..
na kehte bhi meine kar lee kahi batein tumse
yeh dil na jane konsi patang kat raha tha
gir gayi woh patang niche
aur yaad aya waqt bhi kafi beet gaya thaa
ho rahi thi deri hum dono ko bhi
par ye dil na jane teri mohabbat mein kyu ulzhaa thaa..
aur tumse alvida lekar phir milne ka wada dekar
laut ayi mein tabhi dil ko meine kuch pucha
itne hassen khwaab mere he nasib mein kyu likhe thaa...
tum woh the jise dekh milta tha sukoon mere dil ko
ho jata thaa shor har jaga
par uss shor mein bhi dhudh he lete khamoshi hum..
aur uss khamoshi mein mere dil ko tere dil ki avaaj sunayee deti thi..
tumse woh pehli mulakat huye ho gaya kahi arsaa
dhakel diye humne woh sare asoon..
khud se ki gayi woh sari shikayte ek baar phir samne thi
phir din beetein ,guzre mahine ,guzar gaya ek saal
iss pure waqt ka pyala bhar gaya tha filhaal..
haske pi liya woh pyala humne samjha liya tha iss dil ko humne...
agar jindagi mein sabse khoobsurat saval koi hai
toh woh tum the kyuki tere har sawal ka javab hum the
har baar dil ko samjaya phir usi rah par chalna hai abb
ek jane pehchane se chehre ko anjaan nazro se dekhna hai abb..
aur ha tumse kabhi kabar hone wali batein
muzhe kitna khush kar jati thi
lagta tha chaand ka asmaan mein hona
tumhara hona thik waisa he thaa..
dil ne kaha ye dhoka bada khobsurat sa hain
yeh dard haseen hai par kuch ishq sa hain
tum muzhe har ek sawal ke javabo jaise mile the
aur woh hazeer javab bade haseen hua karte the
par abb mein yeh mann chuki huu
ki woh kabhi mera tha he nhii
yeh toh bass ek kaand tha jo dilne humse karvaya thaa..
aur akhir kar yeh kaand karva kr tum muzhe muzh tak louta gaye..............
No comments:
Post a Comment