Sunday, May 24, 2020

Jo Pehli Baar Tumhe Dekha Thaa...

jo pehli baar tumhe dekha thaa
decide kr liya tha ki kaand toh hone wala hai..

nazare yaha waha ghumayi aur samne the tum
jo pehli baar tumhe dekha laga divar ke iss par mein huu
aur uss paar tum , magar baat yeh thi tum waha hokar bhi nahi the
sach yeh tha uss ek pal mein mehaz tum nhi the..

jo pehli baar tumhe dekha tha 
woh lambi naak..
chehre par woh muskaan..
 woh gehri ankhei..
 woh bikhre baal ..
sab kuch sahi toh tha na jese maine chaha thaa
 uss ek pal mein ho gayi ti lafzoh ki kapkapahat..
sab kuch pehli pehal sa thaa na

ankhe gehri kuch batein shetani..uss par muskurana 
karvana he tha kuch kaand hamara..

sukoon se rubaroo thi woh mulakat tumse
mano ubhar kar aa gayi thi dil ki  har baat ..

dil aur dimag mein chidh gayi thi jang
mano avaj pe avaj lagaya ja raha hai koi
dimag bass keh he raha thaa bass karo abb
na karo yeh kaand par dil ne kaha jarasa thamh jao
aur de diya har sawal ka javaab hamne muskurake tumhe
akhir kar ho he gaya kaand humse..

jo dekha tha khayalo mein woh naa dekha uss din 
sirf tumhe dekh rahi thi dil ne phir se shor kiya 
aur kaha wahh wahh akhir kar humne kaand karva he diya..

na kehte bhi meine kar lee kahi batein tumse 
yeh dil na jane konsi patang kat raha tha
gir gayi woh patang niche
 aur yaad aya waqt bhi kafi beet gaya thaa 
ho rahi thi deri hum dono ko bhi
 par ye dil na jane teri mohabbat mein kyu ulzhaa thaa..

aur tumse alvida lekar phir milne ka wada dekar
laut ayi mein tabhi dil ko meine kuch pucha
itne hassen khwaab mere he nasib mein kyu likhe thaa...

tum woh the jise dekh milta tha sukoon mere dil ko
ho jata thaa shor har jaga 
par uss shor mein bhi dhudh he lete khamoshi hum..
aur uss khamoshi mein mere dil ko tere dil ki avaaj sunayee deti thi..

tumse woh pehli mulakat huye ho gaya kahi arsaa
dhakel diye humne woh sare asoon.. 
khud se ki gayi woh sari shikayte ek baar phir samne thi 
phir din beetein ,guzre mahine ,guzar gaya ek saal
iss pure waqt ka pyala bhar gaya tha filhaal..
 haske pi liya woh pyala humne samjha liya tha iss dil ko humne...

agar jindagi mein  sabse khoobsurat saval koi hai
toh woh tum the kyuki tere har sawal ka javab hum the
har baar dil ko samjaya phir usi rah par chalna hai abb
ek jane pehchane se chehre ko anjaan nazro se dekhna hai abb..

aur ha tumse kabhi kabar hone wali batein 
muzhe kitna khush kar jati thi 
lagta tha chaand ka asmaan mein hona
 tumhara hona thik waisa he thaa..

dil ne kaha ye dhoka bada khobsurat sa hain
yeh dard haseen hai par kuch ishq sa hain
tum muzhe har ek sawal ke javabo jaise mile the 
aur woh hazeer javab bade haseen hua karte the
par abb mein yeh mann chuki huu
 ki woh kabhi mera tha he nhii 
yeh toh bass ek kaand tha jo dilne humse karvaya thaa..

aur akhir kar yeh kaand karva kr tum muzhe muzh tak louta gaye..............

Friday, April 24, 2020

#Pyaar mein dard ishq sa hain...

Pyaar mein dard ishq sa hai
har ek pal kuch risk sa hai
haat mein kuch panhe liye mein unpar apne jasbaat likhti hu...
ha mein wahi hu jo har bewafa ki aukaat likhti huu..

Adat hain badi kamini chiz..

jan liya humne tumko tumse jyada
nibha chuke woh rishta jiski buniyaad he jhuth thii
sambhala kafi hadd takk..
pyaar mein dard kuch ishq sa hain
pyaar ho jaye bewafa par apna sa hain..

Tere bina hum hain aur mere bina tum ho

batein toh nahi hogi sari yaad tumhe ye janti hu mein..
ashqq toh nhi nikle hoge ankho se ye manti hu mein..
par jab kadhi hua hoga jikra mera socha toh hoga
yuh he toh nhi mile the humm..

Milte hain ab-bhi khwaabo mein tuzhe

teri baho ka eahsaas ab-bhi hota hai kuch khaas
woh khwaab bade najuk se hai 
jaise pyaar mein dard kuch ishq sa hai
doori thik sahi par tere hone ka agaaz abhi kuch ishq sa hai...

Teri mazboori ke age reh gayi woh batein dil mein sari

par meri khamoshi ko tum samajh baithe bewafai hamari
jab pardo ka uth jana munkin tha 
toh bas ek bari dekh lete tum ankho mein hamari
kashh samaj pate pyaar mein dard ishq sa hai
aur yeh dard bhi khoobsurat sa hain...

Bass abb chodho yeh sikayte

kaha tuthe pyale mein jaam bharte ho
ishq se picha chuta nhi ki dard ka agaaz karte ho..

-Vaishnavi Supekar

Jo Pehli Baar Tumhe Dekha Thaa...

jo pehli baar tumhe dekha thaa decide kr liya tha ki kaand toh hone wala hai.. nazare yaha waha ghumayi aur samne the tum jo ...